Wednesday, December 17, 2008

dosti..

wo beete lamhe, wo yaaden suhani c,
yaad hain hume wo sb baaten purani c,
wo univ k din,
wo hasna hasana, baton baton me ik dusre ka mazak udana,
har pal saath rehna, wo stu c k chakkar lagana...
din bhar doston k sath baithe rehna,
aur sham ko 5 bje ghar jana, wo lects me chhed chhad karna aur paper aate hi tension me pad jana,
yaad aati hain wo sb baaten suhani c....
na jaane kahan kho gaye wo din, kaha gaye wo dost purane, khali hain kone dil k, khali hain wo hamare thikane....
aaj b yaad karte hain wo din toh ankhen nam ho jati hain, sach kehte hain sb doston,
dost bht yaad aate hain, kambakht jaane k baad b haste haste ko rulate hain....

No comments: